jaan bhi pur-soz ho anjam-e-tamanna kya hai koi batlae ki jine ka bahana kya hai meri aankhon mein nami bhi ho to wallah kya hai koi bhi jis ko na dekhe wo tamasha kya hai wo na chahen to maza chah mein phir khak mile hum agar chahen bhi bil-farz to hota kya hai dil sulagta hai sulagta rahe jalta hai jale aisi baaton se bhala ishq mein banta kya hai hum se mansub hain ummid-o-tamanna-o-khayal koi dekhe to zara aap ka naqsha kya hai aql samjhaegi bahlaegi phuslaegi dil ki chhalni se magar dekhiye chhanta kya hai be-khabar kitne the 'masu' rumuz-e-gham se main jo roya to kaha dard se rota kya hai