kab tasawwur yar-e-gul-rukhsar ka feal-e-abas ishq hai is gulshan-o-gulzar ka feal-e-abas nikhat-e-gasu-e-khuban ne kiya be-qadr use ab hai sauda nafa-e-tatar ka feal-e-abas rishta-e-ulfat rag-e-jaan mein buton ka pad gaya ab ba-zahir shaghl hai zunnar ka feal-e-abas aarzu-mand-e-shahadat aashiq-e-sadiq hue ghair ko dar hai teri talwar ka feal-e-abas jab dil-e-sangin-dilan mein kuchh asar hota nahin girya hai is dida-e-khun-bar ka feal-e-abas khwab mein bhi yar ko is ka khayal aata nahin jagna tha dida-e-bedar ka feal-e-abas khali-az-hikmat hua 'bahram' kab fel-e-hakim kaam kab hai dawar-e-dadar ka feal-e-abas