kisi ki zist ka bas ek bab sannata kisi ke waste pura nisab sannata hai us ko lafz se matlab mujhe maani se hai us ka shor mera intikhab sannata darun-e-khana ki viraniyan kuchh aisi thin barun-e-khana hua aab aab sannata mujhe pata hai kahani ka ikhtitam hai kya tawil baat ka lubb-e-lubab sannata meri khamoshi pe ungli uthata rahta hai khud apna karta nahin ehtisab sannata buland hoti sada ko daba ke khush mat ho zarur laega ek inqalab sannata shab-e-firaq teri yaad meri tanhai udas udas faza mahtab sannata abhi 'kamal' yahan qahqahe uchhalte hain kahin na kar de unhen ek khwab sannata