dil-e-pur-shauq ko pahlu mein dabae rakkha tujh se bhi hum ne tera pyar chhupae rakkha chhod is baat ko ai dost ki tujh se pahle hum ne kis kis ko khayalon mein basae rakkha ghair mumkin thi zamane ke ghamon se fursat phir bhi hum ne tera gham dil mein basae rakkha phul ko phul na kahte so use kya kahte kya hua ghair ne collar pe sajae rakkha jaane kis haal mein hain kaun se shahron mein hain wo zindagi apni jinhen hum ne banae rakkha hae kya log the wo log pari-chehra log hum ne jin ke liye duniya ko bhulae rakkha ab milen bhi to na pahchan saken hum un ko jin ko ek umr khayalon mein basae rakkha