jannat se nikala na jahannum se nikala us ne to mujhe khosha-e-gandum se nikala rakha hai mujhe aaj talak mauj mein us ne jis lahar ko girdab-o-talatum se nikala ye bhul hi baitha tha zaban rakhta hun main bhi so khud ko tere sahr-e-takallum se nikala is aadat-e-takhir ko ek umr hai darkar mushkil se tabiat ko taqaddum se nikala tadbir ko taqdir ki ghaflat se jagaya ummid ko bhi tohmat-e-anjum se nikala lagta tha nikal hi nahin paunga 'suhail' ab us ne to mujhe ek tabassum se nikala