itne din ke baad tu aaya hai aaj sochta hun kis tarah tujh se milun mere andar jag uthi ek chandni main zamin se aasman tak ang hun aur ujla ho gaya qurbat ka chand aur gahra ho gaya tera fusun ai sarapa rang-nikhat tu bata kis dhanak se tera pairahan banun sare gul-bute tar-o-taza hue dur tak pahunchi hai meri mauj-e-khun kar rahe hain lamhe lamhe ka hisab mil ke phir baithe hain yaran-e-junun dasht-e-gham ki dhup mein mujh par khula main khud apna saya-e-diwar hun naz kar khud par ki tu hai be-shumar qadr kar meri ki main bas ek hun