dil ek duniya basa leta hai gar koi nahin aata faqat mahsus karta hai nazar koi nahin aata khabar achchhi buri taza purani ho na ho phir bhi hamari mahfilon mein be-khabar koi nahin aata jo pichhe chhod aae hain usi pe laut jaenge khulega jab ki in raston pe ghar koi nahin aata kabhi shatir se shayad is liye bhi jit sakta hun ki mujh ko chaal chalne ka hunar koi nahin aata bure waqton ne aisa gher rakkha hai ki barson se idhar achchhe dinon ka nama-bar koi nahin aata guzar jao 'shahab' is pur-khatar kanton ke jangal se ki is ke baad phir aisa safar koi nahin aata