dil gae aafat aai jaanon par

dil gae aafat aai jaanon par
ye fasana raha zabanon par

ishq mein hosh o sabr sunte the
rakh gae hath so to kanon par

garche insan hain zamin se wale
hain dimagh un ke aasmanon par

shahr ke shokh sada-ru ladke
zulm karte hain kya jawanon par

arsh o dil donon ka hai paya buland
sair rahti hai un makanon par

jab se bazar mein hai tujh si mata
bhid hi rahti hai dukanon par

log sar dene jate hain kab se
yar ke panw ke nishanon par

kaji obash ki hai wo dar-band
dale phirta hai band shanon par

koi bola na qatl mein mere
mohr ki thi magar dahanon par

yaad mein us ke saq-e-simin ki
de de marun hun hath ranon par

the zamane mein kharchi jin ki rupe
phansa karte hain un ko aanon par

gham o ghussa hai hisse mein mere
ab maishat hai un hi khanon par

qisse duniya mein 'mir' bahut sune
na rakho gosh un fasanon par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close