zindan-e-kaenat mein mahsur kar diya mahfil se apni tum ne bahut dur kar diya aate ho dene dawat-e-dar-o-rasan hamein jab hum ne tark-e-shewa-e-mansur kar diya fitrat yahi azal se hai barq-e-jamal ki us ne jise tabah kiya tur kar diya tum ne hamare zarf-e-nazar par na ki nigah sare jahan ko husn se mamur kar diya 'simab' koi martaba mansur ka na tha lafz-e-khudi ki sharh na mashhur kar diya