rangat ye rukh ki aur ye aalam naqab ka daman mein koi phul liye hai gulab ka chaaron taraf se us pe nigahon ka bar hai mushkil hai un ko rukh se uthana naqab ka taskin-e-khak dete hain rakh kar jigar pe hath pahlu badal rahe hain mere iztirab ka muddat hui wahi hai zamane ka inqilab naqsha khincha hua hai mere iztirab ka bachpan kahan tak un ki umangon ko rokta aakhir ko rang phut hi nikla shabab ka rona khushi ka roti hai bulbul bahaar mein chhidkaw ho raha hai chaman mein gulab ka jhalki dikha ke aur wo bijli gira gae achchha kiya ilaj mere iztirab ka khak-e-chaman pe shabnam o gul ka ajab hai rang saghar kisi se chhut pada hai sharab ka khoe hue hain shahid o mani ki dhun mein hum ye bhi 'jalil' ek junun hai shabab ka