hosh saqi ko na khum ka hai na paimane ka is tarah haal ye abtar hua maikhane ka shiddat-e-gham se nikal hi pade aakhir aansu shama se soz na dekha gaya parwane ka jaan-ba-haq ho gaya hota ye kabhi ka bimar gar yaqin hota na us shokh ke aa jaane ka dair banta hai haram aur haram dair kabhi kaba kahte hain jise nam hai but-khane ka tauq-o-zanjir mein bandhe na bandhega hargiz badh gaya aur junun gar tere diwane ka wo pas-e-marg ab aae hain ayaadat ko meri jabki duniya mein hai shohra mere mar jaane ka kis qadar 'shauq' hasinon ke khinche hain naqshe dil ke har zarra mein aalam hai pari-khane ka