dil gaya raunaq-e-hayat gai gham gaya sari kaenat gai dil dhadakte hi phir gai wo nazar lab tak aai na thi ki baat gai din ka kya zikr tira-bakhton mein ek raat aai ek raat gai teri baaton se aaj to waiz wo jo thi khwahish-e-najat gai un ke bahlae bhi na bahla dil raegan sai-e-iltifat gai marg-e-ashiq to kuchh nahin lekin ek masiha-nafas ki baat gai ab junun aap hai gareban-gir ab wo rasm-e-takallufat gai hum ne bhi waz-e-gham badal dali jab se wo tarz-e-iltifat gai tark-e-ulfat bahut baja naseh lekin us tak agar ye baat gai han maze lut le jawani ke phir na aaegi ye jo raat gai han ye sarshaariyan jawani ki aankh jhapki hi thi ki raat gai jalwa-e-zat ai maaz-allah tab-e-aina-e-sifat gai nahin milta mizaj-e-dil hum se ghaaliban dur tak ye baat gai qaid-e-hasti se kab najat 'jigar' maut aai agar hayat gai