donon apne kaam ke mahir donon bade zahin sanp hamesha phan lahrae aur sapera bin gurg wahan koi sar nahin karta aahu par banduq us basti ko jangal kahna jangal ki tauhin sokhtagan ki bazm-e-sukhan mein sadr-nashin aaseb chikhon ke sad ghazlon par sannaton ki tahsin fitna-e-shab ne khatm kiya sab aankhon ka aazar sare khwab haqiqat ban gae sare wahm yaqin hum bhi patthar tum bhi patthar sab patthar takrao hum bhi tuten tum bhi tuto sab tuten aamin