dil hai harif partaw-e-husn-e-shabab ka zarra bana hua hai jawab aaftab ka phir zikr aa gaya hai azab-o-sawab ka lana utha ke wo mera saghar sharab ka har wahm be-sabaat hai har muddaa khayal yani ye zindagi nahin aalam hai khwab ka musa samajh rahe the tajalli ki jis ko mauj gosha sarak gaya tha kisi ki naqab ka wo hain ki chaak kar bhi chuke arz-e-shauq ko main hun ki muntazir hun abhi tak jawab ka 'makhmur' koi bhi nazar aata nahin hasin allah re hausla nigah-e-baryab ka