har sukut-e-bekaran izhaar se labrez hai aaine ki khamushi dar-asl ma’ni-khez hai pichhe mud kar dekhne ki aarzu mat kijiye zindagi one way traffic hai bahao tez hai phir yahan main der se pahuncha hun aur phir samne chand bewa kursiyan hain ek khali mez hai is qadar hairan kyon ho aaj mujh ko dekh kar jis ne tum ko husn bakhsha mera bhi rangrez hai lafz ki ye saltanat khali nahin imkan se sha'iri ka aaina kitna tamaddun-khez hai sar uthane par tere sad-haif hai 'tahir' ki jab hashr tak tera imam-e-‘ishq sajda-rez hai