raha karte hain mai-khanon mein hum pir-e-mughan ho kar tabiat zinda-dil rakhti hai piri mein jawan ho kar chhupe the qabr mein gardish-zada kya shadman ho kar yahan bhi sath hai dauran-e-sarka aasman ho kar hua hai shohra daghon ka nisar-e-gul-rukhan ho kar udi bu-e-wafa meri nasim-e-bostan ho kar jhukegi rafta rafta shakh-e-nakhl-e-qad kaman ho kar khinchega tul furqat ka zah-e-tir-e-fughan ho kar mushabah kar diya kyun zoaf ne un ki nazakat se mujhe khud apne upar rashk aaya na-tawan ho kar gai raunaq bhi chehre ki hawas-o-aql jate hain uda sab rang-e-rukh wahshat mein gard-e-karwan ho kar zamin par sozish-e-gham se girega aasman jal kar sharar-e-dil chala sar halqa-e-daur-e-fughan ho kar tasadduq un pe hota hun jo shoale dil se uthte hain basar karta hun main parwana-e-sham-e-fughan ho kar fana ho kar kahin mitti hai yarab shorish-e-wahshat fughan karta hun main zanjir-e-bab-e-la-makan ho kar khuda samjhe hamari aah-e-sozan se judai mein ki sari dil ki taqat ud gai munh se dhuan ho kar dil-e-nalan ne ham-sayon ko bhi dushman kiya apna raha karte hain hum battis danton mein zaban ho kar hamesha se 'nazar' hum mahw-e-yaad-e-ru-e-raushan hain chamak is dard ki rassi se hum dil mein nur-e-jaan ho kar