dil hi nahin to dil ke sahaaron ko kya karun jab pas tum nahin to bahaaron ko kya karun jalwon se jis ke chand sitaron mein thi ziya ab wo hasin nahin to sitaron ko kya karun taswir aur tasawwur-e-jaanan ye sab fareb main un se dur un ke nazaron ko kya karun go jannat-e-nigah hon firdaus-e-rang hon guzri hui hasin bahaaron ko kya karun khwabon se 'nur' chhin liya hai khayal-e-yar tere baghair tere ishaaron ko kya karun