is qadar kin jazba-e-ulfat ki parda-poshiyan das rahi hain aaj khud mujh ko meri khamoshiyan kaun se sahra ke kante bichh gae hain rah mein kaun si manzil pe aa kar lut gain gul-poshiyan kya hua wo soz-e-furqat aur surur-e-intizar dil se teri yaad ki din raat ham-aghoshiyan har ek aahat par tere aane ka hota tha guman khak mein sab mil gain hain wo hama-tan-goshiyan phiki phiki ho gai hai ab teri tahrir bhi ranjish-e-paiham ne teri chhin lin mai-noshiyan bad-gumani ki hawa se gul na ho sham-e-wafa zehn-o-dil mein ho rahi hain aaj ye sargoshiyan umr bhar ka gham bani hai 'nur' wo pal ki khushi hosh ke aalam mein bhi chhane lagin be-hoshiyan