qurb ke na wafa ke hote hain jhagde sare ana ke hote hain baat niyyat ki sirf hai warna waqt sare dua ke hote hain bhul jate hain mat bura kahna log putle khata ke hote hain wo ba-zahir jo kuchh nahin lagte un se rishte bala ke hote hain wo hamara hai is tarah shayad jaise bande khuda ke hote hain bakhsh dena bhi thik hai lekin kuchh saliqe ata ke hote hain kuchh ko duniya bikher deti hai kuchh pareshan sada ke hote hain wo jo hasti mein dub jate hain un ke charche bala ke hote hain us ki fitrat hi aisi hai 'akhtar' jaise tewar hawa ke hote hain