dil hi the hum dukhe hue tum ne dukha liya to kya tum bhi to be-aman hue hum ko sata liya to kya aap ke ghar mein har taraf manzar-e-mah-o-aftab ek charagh-e-sham agar main ne jala liya to kya bagh ka bagh aap ki dastaras-e-hawas mein hai ek gharib ne agar phul utha liya to kya lutf ye hai ki aadmi aam kare bahaar ko mauj-e-hawa-e-rang mein aap naha liya to kya ab kahin bolta nahin ghaib jo kholta nahin aisa agar koi khuda tum ne bana liya to kya jo hai khuda ka aadmi us ki hai saltanat alag zulm ne zulm se agar hath mila liya to kya aaj ki hai jo karbala kal pe hai us ka faisla aaj hi aap ne agar jashn mana liya to kya log dukhe hue tamam rang bujhe hue tamam aise mein ahl-e-sham ne shahr saja liya to kya padhta nahin hai ab koi sunta nahin hai ab koi harf jaga liya to kya sher suna liya to kya