bana gulab to kante chubha gaya ek shakhs hua charagh to ghar hi jala gaya ek shakhs tamam rang mere aur sare khwab mere fasana the ki fasana bana gaya ek shakhs main kis hawa mein udun kis faza mein lahraun dukhon ke jal har ek su bichha gaya ek shakhs palat sakun hi na aage hi badh sakun jis par mujhe ye kaun se raste laga gaya ek shakhs mohabbaten bhi ajab us ki nafraten bhi kamal meri hi tarah ka mujh mein sama gaya ek shakhs mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha use mile wo zakhm ki phir yaad aa gaya ek shakhs khula ye raaz ki aaina-khana hai duniya aur us mein mujh ko tamasha bana gaya ek shakhs