dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho ek bhik ke donon kase hain ek pyas ke dono pyase hain hum kheti hain tum baadal ho hum nadiyan hain tum sagar ho ye dil hai ki jalte sine mein ek dard ka phoda allhad sa na gupt rahe na phut bahe koi marham ho koi nishtar ho hum sanjh samay ki chhaya hain tum chadhti raat ke chandraman hum jate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho ab husn ka rutba aali hai ab husn se sahra khali hai chal basti mein banjara ban chal nagri mein saudagar ho jis chiz se tujh ko nisbat hai jis chiz ki tujh ko chahat hai wo sona hai wo hira hai wo mati ho ya kankar ho ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyar ke dip jalana kya jab dhup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho