wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai mohabbat karne wala har tarah majbur hota hai jahan jate hain hum us ki gali se ho ke jate hain agarche rasta is raste se dur hota hai nahin rukte ghadi-bhar talib-e-didar ke aansu ye zalim shauq goya aankh ka nasur hota hai koi majnun ki izzat ishq ki sarkar mein dekhe badi khidmat pe aisa aadmi mamur hota hai hasinon ka tanazzul bhi nahin hai shan se khali budhape mein bhi un logon ke munh pe nur hota hai wo aisi khanda-peshani se har maruza sunte hain ye samjhe arz karne wala ab manzur hota hai tujhe mashhur hona ho to aashiq ki burai kar burai se bahut jald aadmi mashhur hota hai hamare ghar wo aa kar thak gae han kyun na thak jate naya rasta jo ho nazdik bhi to dur hota hai jo tum wabasta-e-daman ko samjhe dagh-e-bad-nami to ab kya dur kar sakte ho ab ye dur hota hai bada ehsan hoga mere dil ka khun kar dalo yahi majbur karta hai yahi majbur hota hai mujhe tum jaante ho aql se mazur han be-shak mohabbat karne wala aql se mazur hota hai hasin har ek ho sakta nahin be-shak safi' be-shak wahi hota hai jo allah ko manzur hota hai