dil jis ka dard-e-ishq ka hamil nahin raha

dil jis ka dard-e-ishq ka hamil nahin raha
wo shakhs tere pyar ke qabil nahin raha

jab bhi hinai hathon se gesu sanwar gae
aaina-e-bahaar muqabil nahin raha

har aastan se laut ke aana pada use
jo tere dar pe aane ke qabil nahin raha

mahrumiyan hi jis ka muqaddar hain dosto
wo mahfil-e-nashat ke qabil nahin raha

jab tum na the to kuchh bhi nahin tha bahaar mein
tum aa gae to koi muqabil nahin raha

diwane tere dub gae gahri nind mein
zindan mein shor-e-tauq-o-salasil nahin raha

jab aap muskurae gham-e-dil ki baat par
dil dard ko chhupane ke qabil nahin raha

tanhaiyon ki bazm hi achchhi rahi 'khayal'
mahfil mein pur-sukun kabhi dil nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close