koi ishaara koi istiara kyunkar ho ab aasman-e-sukhan par sitara kyunkar ho ab us ke rang mein hai besh-tar taghaful sa ab us se taur-shanasi ka chaara kyunkar ho wo sach se khush na agar ho to jhut bolenge ki wo jo ruthe to apna guzara kyunkar ho unhen ye fikr ki dil ko kahan chhupa rakkhen hamein ye shauq ki dil ka khasara kyunkar ho uruj kaise ho zauq-e-junun ko ab 'aslam' sukun ka aaina ab para para kyunkar ho