khushk roti todni hai sard pani chahiye kya kisi girje ki kundi khatkhatani chahiye ai samaat us faza mein aaj bhi maujud hai han nawa-e-naghma-e-kun tujh ko aani chahiye kahina hum se riwayat ka mukammal matn sun batn mein jalti hui sham-e-maani chahiye sabiqa naqshe pe taza saltanat ijad ho aasman nila banana ghas dhani chahiye gum-shuda suraj ko rota hai mera yaum-e-saped surmai shab ko charagh-e-an-jahani chahiye husn ke gare mein aab-e-ishq ki chhinten mila champai rangat mein aatish sansanani chahiye jism ki gosha-nashini aur kitne roz hai banda-e-rabb-e-ali ko la-makani chahiye