dil jis se kanpta hai wo saat bhi aaegi wo aaega to koi musibat bhi aaegi main aaj teri rah ka patthar sahi magar kal tujh ko pesh meri zarurat bhi aaegi jhele hain apni jaan pe hum ne wo hadse dil manta nahin ki qayamat bhi aaegi us ki kashidgi ka sabab kuchh bhi ho magar mujh ko guman na tha ki ye naubat bhi aaegi ai rah-naward saya-e-ashjar hi nahin kuchh tere kaam dhup ki hiddat bhi aaegi kya faeda jo apni safai mein kuchh kahun main jaanta tha mujh pe ye tohmat bhi aaegi