guzishta shab hama-auqat gharq-e-jam rahe kabhi khuda se kabhi us se ham-kalam rahe dua-e-akhir-e-shab mein usi ko manga hai jo qatl-e-harf-e-tamanna pe shad-kaam rahe kabhi jo aai bhi takmil-e-arzu ki ghadi jo na-tamam the qisse wo na-tamam rahe diye saje rahen palkon pe dil sulagta rahe wo aae ya ki na aae ye iltizam rahe lahu lahu dil-o-jaan hon par apne qatil ka 'shamim' kuchh bhi ho malhuz ehtiram rahe