naqab chehre pe baaten luab-dar kare wo rahnuma hai siyasat ka karobar kare ye sirf khwabon kitabon ki baat lagti hai ki ek gharib ki imdad mal-dar kare nae zamane ka rahzan naya saliqa hai wo lautta hai magar pahle hoshiyar kare charagh le ke bhi dhundhenge to milegi nahin jahan mein ek bhi hasti jo man sa pyar kare hawa ke zor se hi kashtiyan nahin chaltin ki nakhuda bhi khuda se zara guhaar kare wo gul-badan hai mukammal bahaar se badh kar bas us ka zikr hi mausam ko khush-gawar kare na jaane kaun si basti ka tu hai bashinda tujhe 'dinesh' koi gham na be-qarar kare