dil jo aaina sa nahin hota yar jalwa-numa nahin hota sabr kar sabr ai dil-e-mahzun is mohabbat mein kya nahin hota go nasim-e-sahar hai aah meri ghuncha-e-dil to wa nahin hota murgh-e-bismil sa kyun na main tadpun dard rahat-faza nahin hota kyun karun ja ke main use sajda but-e-kafir khuda nahin hota hota nam-o-nishan ka gar talib main tera naqsh-e-pa nahin hota kyun dil aata tumhaare dar pe sanam garche shauq-e-liqa nahin hota ishq hota nahin to pesh-e-nazar jalwa-e-haq-numa nahin hota sar katane se ho gai rahat ishq ka ye maza nahin hota mujh se dar-parda hai tujhe ulfat mujh ko ye hausla nahin hota dil ko kyun kar 'jamila' main phenkun kisi surat juda nahin hota