nairangi-e-khayal pe hairat nahin hui mujh ko kisi kamal pe hairat nahin hui meri tabah-haali ko bhi dekh kar use hairat hai mere haal pe hairat nahin hui puchha tha main ne jab use kya mujh se ishq hai? us ko mere sawal pe hairat nahin hui dekha jo ek umr ke baad us ne aaina khud apne khad-o-khal pe hairat nahin hui ek umr se main rafta-e-raftar-e-yar hun mujh ko ram-e-ghazal pe hairat nahin hui aakhir ghurub hona hi tha aaftab-e-umr mujh ko mere zawal pe hairat nahin hui wo shakhs is jahan ka tha hi nahin kabhi 'sahir' ke intiqal pe hairat nahin hui