main dhund-fazaon mein uda bhi hun gira bhi thi quwwat-e-parwaz bhi aur khauf-e-qaza bhi main apne hi zindan-e-tilismi ka zubun tha har-chand teri shoabada-kari se bacha bhi lai hai kahan mujh ko tabiat ki do-rangi duniya ka talabgar bhi duniya se khafa bhi pa-basta-e-zanjir-e-hawa chhut gae hain mauquf hua silsila-e-qatl-e-nawa bhi khwabida lahu bazu-e-parwaz mein jaga raushan hui dhundlai hui zard faza bhi aankhen hain magar khwab se mahrum hain 'midhat' taswir ka rishta nahin rangon se zara bhi