sitam hai mubtala-e-ishq ho jaana jawan ho kar hamare bagh-e-hasti mein bahaar aai khizan ho kar jawani ki duaen mangi jati thin ladakpan mein ladakpan ke maze ab yaad aate hain jawan ho kar khuda rakkhe dil-e-mayus mein ummid baqi hai yahi gul hai jo bu deta hai pamal-e-khizan ho kar mujhe shabnam bana rakkha hai in khurshid-ruon ne rulate hain nihan ho kar mitate hain ayan ho kar hamin wo the ki hoti thi basar phulon ke ghunche mein hamin ab ai falak tinke chunen be-ashiyan ho kar dar-e-jaanan ke aage kab tahayyur badhne deta hai jo aata hai wo rah jata hai sang-e-astan ho kar nihaal-e-shama mein kya khushnuma ek phul aaya tha sitam dhaya nasim-e-subh ne baad-e-khizan ho kar taqaza sin ka bhi allah kya shai hai ki yusuf se zulekha naz karti hai nae sar se jawan ho kar 'jalil' aakhir jo ki hai shaeri kuchh kaam bhi nikle kisi but ko musakhkhar kijiye mojiz-bayan ho kar