dil mein har-waqt yas rahti hai ab tabiat udas rahti hai un se milne ki go nahin surat un se milne ki aas rahti hai maut se kuchh nahin khatar mujh ko wo to har-waqt pas rahti hai aab-e-haiwan jise bujha na sake zindagi ko wo pyas rahti hai dil to jalwon se bad-hawas hi tha aankh bhi bad-hawas rahti hai un ki surat ajab hai shoabada-baz dur rah kar bhi pas rahti hai dil kahan 'arsh' ab to pahlu mein ek taswir-e-yas rahti hai