dil ka gila falak ki shikayat yahan nahin wo mehrban nahin to koi mehrban nahin hum aaj tak chhupate hain yaron se raaz-e-ishq haalanki dushmanon se ye qissa nihan nahin zeba nahin hai dost se karna moamla kuchh warna naz jaan ke badle giran nahin hum zumra-e-raqib mein mil kar wahan gae jab shauq rahnuma ho koi pasban nahin aashufta misl-e-baad hun betab misl-e-barq kyunkar muin-e-charkh teri shokhiyan nahin hum aap par nisar karen kaenat ko par kya karen bisat mein juz nim-jaan nahin saman-e-wajd fitna-e-mahshar ko de diya wo khak par hamari jo daman-kashan nahin kyun hain nadim-e-dost sifarish mein ghair ki kya hum ko un se rasm-o-rah-e-armughan nahin ek haal-e-khush mein bhul gae kaenat ko ab hum wahan hain mutrib o saqi jahan nahin kis kis pe rashk kijiye kis kis ko roiye kis din wo jalwa aafat-e-sad-khanuman nahin kyun ye hujum-e-shor-o-shaghab hai nushur mein aisa to 'shefta' hamein khwab-e-giran nahin