hath aa saka hai silsila-e-jism-o-jaan kahan apni talab mein ghum chuka hun kahan kahan jis bazm mein gaya talab-e-sar-khushi liye mujh se tere khayal ne puchha yahan kahan main aaj bhi khala mein hun kal bhi khala mein tha mere liye zamin kahan aasman kahan tu hai so apne husn ke ba-wasf gham-nasib main hun to mere hath mein kaun-o-makan kahan hoti hai ek dushmani o dosti ki had is had ke baad zahmat-e-lafz-o-bayan kahan rah-e-junun mein tesha-ba-dast aa gaya hun main har sang hai giran magar itna giran kahan ab chhodiye tasawwur-e-zulf-o-mizha 'sahar' dasht-e-gham-e-jahan mein koi saeban kahan