do-chaar gam pas-e-rifaqat na kar sake hum phir bhi un se koi shikayat na kar sake kya aise ham-safar pe bharosa kare koi jo dil ko bhi sharik-e-masafat na kar sake insan ka ehtiram tha itna hamein aziz hum apne dushmanon se bhi nafrat na kar sake hum log to kuchh aise qadamat-parast hain paida kisi bhi kaam mein jiddat na kar sake chunte ho aisa qafila salar kis liye jo ahl-e-karwan ki hifazat na kar sake hum aise hukmaran the be-ikhtiyar se is dil ki saltanat pe hukumat na kar sake naraaz hum se hain wo hamare sukut par lab kholne ki khud bhi jo himmat na kar sake 'shahid' dayar-e-dil mein andhera hai chaar su raushan koi charagh-e-mohabbat na kar sake