waqt raste mein khada hai ki nahin dil se ab puchh khuda hai ki nahin sohbat-e-shisha-garan hai inkar sang aaina bana hai ki nahin har kiran waqt-e-sahar kahti hai rauzan-e-dil koi wa hai ki nahin rang har baat mein bharne walo qissa kuchh aage badha hai ki nahin zindagi jurm bani jati hai jurm ki koi saza hai ki nahin dost har aib chhupa lete hain koi dushman bhi tera hai ki nahin zakhm-e-dil manzil-e-jaan tak aae sang-e-rah sath chala hai ki nahin kho gae rah ke sannate mein ab koi dil ki sada hai ki nahin hum tarasne lage bu-e-gul ko kahin gulshan mein saba hai ki nahin hukm-e-hakim hai ki khamosh raho bolo ab koi gila hai ki nahin chup to ho jate hain lekin 'baqi' is mein bhi apna bhala hai ki nahin