jaane kya baat hai hanste hoi dar jate hain chalte chalte hue raste mein thahar jate hain marne ke liye hathiyar zaruri to nahin hum to ehsas ki shiddat se hi mar jate hain nam ke apnon ne ta-umr kiya hai ruswa ab to darte hue hum apne bhi ghar jate hain ye alag baat ki hum khud hi faramosh karen kaun kahta hai ki haalat sanwar jate hain yun na maghrur ho tu apni masihai par zakhm ki rasm hai ek roz ye bhar jate hain jhut ka sath na dene ki qasam khai thi phir bhi tere liye hum sach se mukar jate hain kya qayamat ka ye ahwal tujhe yaad nahin rui ke gal se patthar bhi bikhar jate hain lafz ke khel mein mahir the kabhi hum bhi magar ab to sadiyon yunhi khamosh guzar jate hain jo diye shab mein jale un ko sambhaalo 'mumtaz' sare chadhte hue suraj to utar jate hain