zara bhi dil mein judai ka gham nahin rakhte

zara bhi dil mein judai ka gham nahin rakhte
bichhad gaya jo use yaad hum nahin rakhte

khabar jo hoti hamein qafilon ke lutne ki
to aisi rah mein hargiz qadam nahin rakhte

unhin ko hukm mila hai fasana likhne ka
jo apni jeb mein koi qalam nahin rakhte

dikhai deti nahin ab saf-e-aza-daran
yahan ke log bhi koi alam nahin rakhte

jala ke rakh kiya jis ne muft mein hum ko
hum aise shakhs ko ab mohtaram nahin rakhte

yahan to apni basirat pe naz hai sab ko
yahan ke log koi jam-e-jam nahin rakhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close