dil ka ye dasht arsa-e-mahshar laga mujhe main kya bala hun raat bada dar laga mujhe aage bhi ishq mein huin ruswaiyan magar ab ke wafa ka zakhm jabin par laga mujhe ai dil wo mehrban hai yunhi bad-guman na ho mara tha us ne ghair ko patthar laga mujhe har su tere wajud ki khushbu thi khema-zan wo din ki apna ghar bhi tera ghar laga mujhe hans kar na tal ja ki ye ummid ki kiran wo tir hai ki sine ke andar laga mujhe tariki-e-hayat ka andaza kar ki aaj dagh-e-shikast mahr-e-munawwar laga mujhe sanche to the ghazal ke siwa bhi magar 'zafar' kya jaane kyun ye zarf hasin-tar laga mujhe