ek khwab ke asar mein kai din guzar gae phir yun hua ki aankh khuli hum bikhar gae jab panw ke nishan nishani ki tarah the tab log kis dagar pe chale aur kidhar gae kal aankh ke shajar se kai phul yaad ke palkon se ho ke dil ki sadak khub bhar gae ai dukh teri tawil rifaqat ke baad bhi khud se mile hain log to kitne nikhar gae is bar phul dhup se naraaz the aziz saya-farosh jitne bhi the be-hunar gae