jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka khayal rakh jo luta diya use bhul ja jo bacha hai us ko sambhaal rakh kabhi sar mein sauda sama koi kabhi regzar mein raqs kar kabhi zakhm bandh ke panw mein kahin surkh surkh dhamal rakh jo churai hai shab-e-tar se kai ratjagon ko guzar ke wahi kajalon ki lakir hai apni aankh mein dal dal rakh kisi tara tara firaq se koi guftugu koi baat kar ye jawab-gah-e-shuur hai koi apne pas sawal rakh tere dard sare giran-baha teri wahshaten hain azim-tar wahi baal khol ke bain kar wahi sham-e-sahn-e-malal rakh jahan laghzishon se mafar nahin ye wo aagahi ka maqam hai yahan hast-o-bud ko bhul ja nai qurbaton se visal rakh ye jo raushni ka hai daera ye rahin-e-shams-o-qamar nahin tere bas mein kab tha ki ab rahe tu uruj rakh ya zawal rakh