duniya phulon ki shaidai kanTon ko apnae kaun

duniya phulon ki shaidai kanton ko apnae kaun
achchhe waqt ke sathi sab hain dukh mein hath batae kaun

asr-e-nau ka shair apni zat ke khol mein hai mahbus
fikr-o-fan ke phul khila kar shahr-e-ghazal mahkae kaun

lafzon ko talwar bana kar khel rahe hain farzane
kya hoga anjam-e-maani samjhe aur samjhae kaun

saqi ke har izn-o-ishaara par bhi main pyasa hi raha
yaro mujh ko sharm ye aai tanha jam uthae kaun

un par kaise ungli uthe un par kaise tohmat aae
wo to faqih-e-shahr hain yaro un ka jurm batae kaun

tum ne diye jalae hum ne apna khun jalaya hai
kal tarikh likhegi us ko aaj ye baat badhae kaun

hum sab mujrim hum sab munsif kaun dhare kis par ilzam
talkh bahut hai jam-e-sadaqat is ko hath lagae kaun

har mina-bazar se 'mehdi' aankh bacha kar guzra hun
pet ke rog se fursat kab hai dil ka rog lagae kaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close