ne aadmi pasand na is ko khuda pasand hai aaine mein qaid mera aaina-pasand do-chaar din bhi hum se nibahi nahin gai wo mo'tadil mizaj tha main intiha pasand wo khud-fareb shakhs tha patthar-shanas tha aaya na us ko koi bhi apne siwa pasand puchhe hai hum ne kahe kiya kufr ikhtiyar ghaflat pasand hai na hamein aasra pasand ghaugha-e-marg chaaron taraf phailne laga kya is jahan ko chhod gae baadiya-pasand us par hi bhejta hai wo aafat bhi maut bhi shayad use gharib ka bachcha hai na-pasand aakash ek shakhs hai duniya se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaega pasand