khwab ki khidki se us ko dekhna achchha laga nind ke aangan mein shab-bhar jagna achchha laga shahr-e-na-pursan tha yun bhi kaun kis ko puchhta ek pal ko us ka mud kar dekhna achchha laga sath tha sahra mein bhi wo har-qadam saya-sifat is tarah shahr-e-khirad se lautna achchha laga ban gaya ek khel sa auron mein khud ko dhundhna kucha kucha qarya qarya ghumna achchha laga khwab kaisa tha ki sari umr aankhon mein raha dhyan kis ka tha ki pahron sochna achchha laga chandni raaton mein aksar jag kar socha jise us ka raste mein achanak samna achchha laga fasl-e-gul aai to kya kya suraten baham huin chehra chehra ek surat dhundhna achchha laga kahkashan ki kahkashan meri gali mein aa gai kaisi aahat thi ki khidki kholna achchha laga jaane kya khoya ki ab tak dhundte phirte hain hum jaane kya paya ki sab kuchh bhulna achchha laga