dil ke darwaze par nazar rakhiye kaun aata hai ye khabar rakhiye panw bilkul nahin jalenge phir dhup ke samne shajar rakhiye dusre kaam bhi zaruri hai apne sae ki bhi khabar rakhiye raushni bantte hai tare wahan aasmanon pe bhi nazar rakhiye kuchh charaghon ko rakhiye chaukhat par aur kuchh dil ki taq par rakhiye ye phisal jaega kisi bhi jagah dil ko thoda sa tham kar rakhiye