dil ke har dard ne ashaar mein dhalna chaha apna pairahan-e-be-rang badalna chaha koi an-jaani si taqat thi jo aade aai warna hum ne to bahar-gam sambhalna chaha chahte to kisi patthar ki tarah ji lete hum ne khud mom ki manind pighalna chaha aankhen jalne lagin tapte hue bazaron mein dil ne jab bhi kisi manzar pe machalna chaha sirf hum hi nahin har ek ne jine ke liye ek na ek jhute sahaare se bahalna chaha kaun hai ye jo sisakta hai mere sine mein kaun hai jis ne mere khun pe palna chaha