raat phir jaanib-e-sahar aai kitni dushwar rahguzar aai chand taron ke phul murjhae jab bhi shabnam ki aankh bhar aai hasraton ka safed-fam kafan kaun pahne hue kidhar aai kis tamanna ki chashm-e-awara thokaren kha ke dar-ba-dar aai aaj rang-e-shafaq ajib sa tha dil ki taswir si utar aai ek zamana hua khizan guzre dil ujadne ki ab khabar aai kya hua dil ki aabru na rahi zindagi kuchh to rah par aai