dil ke lutne pe kya kare koi kis se ja kar pata kare koi sochta hun ki kis bharose par jaan tum par fida kare koi yani umr-e-khizar to hasil ho chand sanson ka kya kare koi ek hi to sada-e-majnun hai mere dukh ki dawa kare koi us pe lazim usi ka ho jaana jis ko kuchh bhi ata kare koi koi rasta nikal hi aata hai ek zara aasra kare koi gah chalti ba-gah rukti hai aisi dhadkan ka kya kare koi jun farishta ajal ka aata hai aise wada-wafa kare koi sakht mushkil hai fil-badih kahna chhed hire mein kya kare koi